12 May 2011

Kaise kahoon apna bana lo mujhe!!!!


Kaise kahoon k apna bana lo mujhe
bahon mein apni sama lo mujhe


Bin tumharey ek pal bhi ab kat-ta nahin

Tum aa ker mujhi say chura lo mujhy


Meri sab say gehri khwahish ho puri

Tum agar pass apne bula lo mujhy


Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai

Tumhara hoon mein to sambhalo mujhy


Najane phir kaise guzrey gi zindagani

Agar apne dil say kabhi tum nikalo mujhy

No comments:

Post a Comment