13 August 2012

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga…

Meri Jaan Ke Gore Haathon per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga…

Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga…

Reh Reh Ker Ro Padegi

Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga…

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga…

Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga…

Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga…

Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga…

Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga…

Apne Haathon Se Usne
Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga…

Khud Ko Majboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga…

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga…

Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya Hoga…

Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga…

Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use,
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga…

Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga…

Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga…

Ro Padegi Aatma Bhi
Dil Bhi Cheekha or Chilaya Hoga…

Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga…

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga…

Har Kadam par har koi katil hai.

Har Kadam par har koi katil hai..
jaaye bhi toh jaaye kahan...
Haseen ishq ka safar hi jo katilana hai.. 
MUjhe marne ke lie na dhund tu khanjar or shamsheer 
Bas teri ek katilana nazar hi kaafi hai

Kya banne aaye thy kya ban baithe

Kya banne aaye thy kya ban baithe
kabhi mandir bana baithe kabhi masjid bana baithe
humse to achi jaat parindo ki hai
jo kabhi masjid pe jaa baithe kabhi mandir jaa baith te hain

Gam-e-Judai ka sabab Muhabbat hai

Gam-e-Judai ka sabab Muhabbat hai
Gam-e-Ruswai ka sabab muhabbat hai
Sabke Gharonde to huye ishq se abad
Meri Tanhai ka sabab Muhabbat hai.

Naadan Hai Mujhe Patthar Dil Bataane Waale



Naadan Hai Mujhe Patthar Dil Bataane Waale
Shaayad Bhul Gaye Hain Ek Baat Ye Zamaane Waale
Patthar Ki Keemat Un Haathon Se Pucho…
Taraash Ke Tajmahal Bana Gye Jo Banaane Waale

07 August 2012

Meri Zindagi Ghamon Se Ho Gayi Hai Taar






meri zindagi ghamon se ho gayi hai taar

khushiyan bhi mere kareeb nahi aati

Zamaane bhar ka zeher pee liya humne

Jaan hai ki kambakht nikal nahi jaati



08 April 2012

Tujhko ho ya na ho , teri jarurat hai mujhe

Tujhko ho ya na ho , teri jarurat hai mujhe,,
Jane ku aaj bhi tujhse hi muhabbat hai mujhe,,
Teri yado se lipat kar mai jara sa ro lu,,
Mai samjhta hoo ki itni to ijajat hai muje

Kisi ko apni khubinyo ka ehsas nahi hota

Kisi ko apni khubinyo ka ehsas nahi hota,,
Aap jayse dosto ka milna itifaq nahi hota,,
Kuch accha kiya hoga humne,,
Varna aap sath thy hume viswas nahi hota

Aap ki judayi ne mujhe shayari sikha di,

Aap ki judayi ne mujhe shayari sikha di,,
Judayi ke gum ne humari manjil bhula di,,
Chahte ro nahi thy aap se juda hona par,,
Kya kahe agar hume apno ne hi pith dikha di ..