25 December 2011

Darde dil saha nahi jata..

Darde dil saha nahi jata
Tumko dekhe bina raha nahi jaata
Pyar ka ye ajeeb fasla hai
Zinda rehkar bhi zinda raha nahi jaata

Toot gaya dil par....

Toot gaya dil par armaan wahi hai
Door rehte hai phir bhi pyar wohi hai
Jante hai ke mil nahi sakte
Magar in ankhon me intezar wohi hai

Darte hai aag se ...

Darte hai aag se kabhi jal na jaye
Darte hai khwab se kabhi toot na jaye
Lekin sabse zyada darte hai aapse 
Kabhi aap hamse rooth na jaye

Apne dard e dil ka hamdard

Apne dard e dil ka hamdard hame hi paoge
In tanhaiyon me saath hume hi paoge
Door hai aapse to kya hua
In dooriyon me bhi sab se kareeb hame hi paoge

Gila tujhse nahi koi

Gila tujhse nahi koi 
Gila majburiyo se karte hain
Tu aaj hamare karib na sahi
Mohabbat to hum teri dooriyon se bhi karte hai

16 December 2011

Bohot udas hai koi tere jane se





Bohot udas hai koi tere jane se ,,

Ho sake to laut aa kisi bahane se ,,


Tu lakh khafa sahi ek bar to dekh ,,


Koi toot gaya hai tere rooth jane se ,.

07 December 2011

Kisi ke yaad me baar baar tadapna


Kisi ke yaad me baar baar tadapne
se dil ka dard kam nahi hota,
Pyar to takdir me likha hota hai,
tadapne se koi apna nahi hota

Ek tooti prem kahani


Ek tooti prem kahani:

Fark sirf itna sa hai..


Uski barat gayi...
Iski mayyat uthi..

Phool uspar bhi they...
Phool ispar bhi they,,




Mehfil waha bhi thi...
Log yaha bhi they...


Woh doli me thi...
Yeh janaze pe....


Unka hasna wahan ...
Inka rona yahan...


Saheliyan uske bhi they,,,,
Dost iske bhi .....


Qazi udhar bhi they..
Moulvi idhar bhi they...


Wo saj ke gayi..
Isey sajaya gaya....


Wo uth k gayi...
Isey uthaya gaya...


Fark sirf itna sa tha,...


Usey apnaya gaya....
Isey dafnaya gaya    :((

04 December 2011

Kabhi to tanhaio ko koi samjhe meri



कभी तो तन्हाइयो को कोई समझे मेरी ,
कभी तो यादो मे कोई ठहरे मेरी ।
यू दूर की बातो मे सुकुन नही मिलता ,
कोई तो आकर करीब सुने बाते मेरी ॥



                                                                             By Ravi Ucheniya
                                                                                Ajmer(Rajasthan)



aansu pochne k liye koi paas nahi hota

Paas baith kar dil udas nahi hota,
waqt guzarta hai kaise ye ehsas nahi hota
bichad kar bhar ati hai aankhe
magar aansu pochne k liye koi paas nahi hota

Chaley jaoge beshak meri zindagi se

 
Chaley jaoge beshak meri zindagi se
magar is dil se kis tarha jaoge

ayegi jab meri yaad aansun hi bahaoge
chahoge mujhse milna par mil nahi paoge..

puchega koi mere baare me
galti meri bataoge...

Honge tumhari mehfil me sabhi...
magar hame nahi paoge.. 
Mehfil me rehkar bhi tanha ho jaoge..
Sochoge jab mere baare me .
to fir pachtaoge..
 
maana ki paloge ek aur dost..
magar ek aur 'name" kaha se laoge????

30 November 2011

Mil ke bichadne ka maza kyu nahi dete

 
Mil ke bichadne ka maza kyu nahi dete?
har baar koi zakhm naya kyu nahi dete..?

hai jaan se pyara mujhe ye dard-e-muhabat,
kab maine kaha tumse dawa kyu nahi dete..
 
gar apna samjhte ho to phir dil me jagah do,
hoo gair to mehfil se
utha kyu nahi dete..?

28 November 2011

maut bhi na mil payegi unki panaho me



Dard jitna hai meri nigahon me,
na de khuda kisiki raho me,
bitana chahte they zindagi jinki  bahon me
Shayad maut bhi na mil payegi unki panaho me

Ishq me ye anjam paya hai


Ishq me ye anjam paya hai,
haath pair toote, muh se khoon aya hai
hospital pahuche to nurse ne farmaya 
BAHARO PHOOL BARSAO KISIKA MEHBOOB AAYA HA

22 November 2011

Ada nasha nazar badan

 
Ada, nasha, nazar, badan,
sab kuchh tere paas hai
magar tu wo ghta nhi
jiski mujhe pyas hai !!!!

Ek Shamshan ke bahar likha hai

 
Ek Shamshan ke bahar likha hai
manzil to teri yahi thi

bas zindgi guzar gyi teri ate ate

kya mila tujhko is dunia se

apno ne hi jala diya tujhko jate jate

Zara zara see baat pe

Sametna chaahti hun har baar,apnee hee aankhon mein apne aansoo
Ke jo cheez apnee hai,use khud se juda kaise karun
Par yeh aansoo bhee,tumhaara saath kahaan nibha paate hain
Zara zara see baat pe,aksar,yeh bhee, saath chhorh jaatein hain

ZINDAGI hai Nadan isiliye chup hu,

 
ZINDAGI hai Nadan isiliye chup hu,
Dard hi Dard hai subah sham isiliye chup hu,
Keh to Du Zamane se Dastan apni,
Lekin usme Aayega tera Naam isiliye chup hu

28 June 2011

Usne din raat mujhko sataya itna, ki nafrat bi ho gayi aur mohabbat bi ho gayi, Usne is nazakat se mere hothon ko chuma ki, roza bi na tuta aur aftari bi ho gayi, Usne is tarah se mujse mohabbat ki, ki gunah bi na hua aur ibadat bi ho gayi, Mat puchh uske pyar karne ka andaz kaisa tha, Usne is shiddat se seene se lagaya ki maut bi na hui aur jannat bhi nasib ho gayi...
Chup chup kar tanha rolenge, ab dil ka dard kisi se na bolenge, neend to aati nahi ratoon ko, jab rukegi dil ki dhadkan to ji bhar ke so lenge..
Mana ke hum tumse bahut ladte he, magar pyar bhi toh bahut karte hai, mere gusse ki wajah se naraz na ho, jana hum gussa upar se aur pyar dilse karte hai.. 

08 June 2011

Mohabbat mujhe thi usise sanam...


Mohabbat mujhe thi usise sanam,

Yaadon me uski tadapta raha,

Maut bhi meri chahat ko rok na saki,

Kabrr me bhi ye dil dhadakta raha

Aap samajhte hai humne apko bhula diya..



Aap samajhte hai humne apko bhula diya..
Aap nahi jaante ki dil me apko chhupa rakha hai,
dekh na le koi aapko in aankhon me is darr se palkon ko jhuka rakha hai

Phoolon ki har kali khushbu de apko..


Phoolon ki har kali khushbu de apko,
Suraj ki har kiran roshni dde apko,
Hum to kuch dene ke kabil nahi,
Dene wala har khushi de apko

Pyar ke ujale me gham ka andhera..


Pyar ke ujale me gham ka andhera kyu aata hai,

Jisko hum chahe wahi kyun rulata hai,

Mere khuda agar woh mera nasib nahi to aise logon se hume milata kyun hai...

02 June 2011

Kya hoon main Aur kya samajte hai




Kya hoon main Aur kya samajte hai
Sab raaz nahi hote batane wale
Kabhi tanhayio mein ah kar dekhna
Kaise rote hai Sab ko hasane wale

19 May 2011

Phoolon se kya dosti karna


Phoolon se kya dosti karna jo kuch der baad murjha jaate hai,

Phoolon se kya dosti karna jo kuch der baad murjha jaate hai,


Dosti karna hai to kaanton se karo jo chubne k baad bhi yaad aate hai

17 May 2011

Pyaar karna bhi khata hai yaha



Pyaar karna bhi khata hai yaha ,,
Wafa karna bhi saja hai yaha ,,
Duniya me wo hi sukhi hai masum,
Jis ki fitrat me daag hai yaha ,,

Galib ne GF ko date par


Galib ne GF ko date par bulaaya aur wo late ayi.
GF: sorry, I am late.
Galib: Falak pe chand sitaaron ko neend aa rahi hai, doosri ka
time ho gaya aur tu ab aa rahy hai.

Dil ne jo Chaha aaj tak na paya




Dil ne jo Chaha aaj tak na paya,
Jhooti Muskan me hmne hmesha gum ko chupaya,

Vaise to har insan taqdir ko azmata hai, 
aur ek hum hai jise har bar taqdir ne aazmaya....

Jaane kyu log hame



Jaane kyu log hame aajmate hai
kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
log barish ko bhul jate hai

12 May 2011

Kaise kahoon apna bana lo mujhe!!!!


Kaise kahoon k apna bana lo mujhe
bahon mein apni sama lo mujhe


Bin tumharey ek pal bhi ab kat-ta nahin

Tum aa ker mujhi say chura lo mujhy


Meri sab say gehri khwahish ho puri

Tum agar pass apne bula lo mujhy


Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai

Tumhara hoon mein to sambhalo mujhy


Najane phir kaise guzrey gi zindagani

Agar apne dil say kabhi tum nikalo mujhy

Usne Raat K Andheray Mein,




Usne Raat K Andheray Mein,
Mere Haath Ki Hatheli Pe,
Likha Tha Apni Ungli Se,
Mujhe Pyaar Hai Tumse,
Janay Kaise Syahi(ink) Thi Woh,
K Mit ti Bhi Nahi Aur Dikhti Bhi Nahi.......!!!!

27 April 2011

Mujhe jeene ki umeed dubara dedo


Mujhe jeene ki umeed dubara dedo ,,
Meri dubti kasti ko kinara dedo ,, 

Main dard ke shahil pe tanha khada hoo ,,
Fir aake apni baho ka sahara dedo ,,

Tera daman to bhara hai sitaro se ,,
Mujhe sad ke me ek sitara dedo ,,

Mere aangan ma aaj andhera hai bahoot ,,
Meri dalheej ko fir apna nazara dedo ,,

Chand lamhe tujhe dekhne ki hasrat hai bas ,,
Maine kab kaha waqt apna mujhe sara dedo ,,,,,,,?

Kuch is tarah gujarti ab hamari har sham hai ,,




Ek hath me tasveer unki to ek hath me JAM hai ,,


Bekar hai yad deelana ke shaye ye haram hai ,,
Sab kuch bhul jate hai jab koi leta unka nam hai ,,


Hum to yahi kahenge main bewajah badnam hoo ,,
Darde dil se hum ko to pahuchati ye aaram hai ,,


Tawah karti hai SARAB galat is par ilzam hai ,,  

Madadgar ka badnam hona to kudarat ka nizam hai ,,

Hum gumkhoro ka mai ko tahe dil se salam hai ,,
Bina iske to khuda jane kya humara anjam hai ,,,,,,?

Ae khuda dua ye meri



Ae khuda dua ye meri khali na jaye ke mere dost ki
palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke nikle gum ke aansu mere hisse
me aa jaye

Mere sukun ko lauta de koi



Mere sukun ko lauta de koi
In larazte honto se muskura de koi

Bahut derd sama rakha is seene me
Dawa bankar is dard ko mita de koi

Mujhe bhi muskurane ki tamanna hai bahut
Is gham k samundar me khushyan la de koi

Tanha chalte chalte ab thak gaya hun main
Safar k is tanhayi ko akar mita de koi

Jine k liye mere pas yaadon k siwa kuch nahi
Marne k liye apni muhabbat ka sahara de de koi

Muskaan tera hontho se kabhi jaye na...



Muskaan tera hontho se kabhi jaye na
Aansoo teri palko pr kabhi aaye na,
Poora ho tera har kwab,aur jo pura na ho,
Vo kwab kbhi aaye na .

Koshish hardam karta raha



Teri mohabat me mein khuda k sajde karta raha
Tujhe paya nai par na kho du kahin isliye bas darta raha.

Tu na mili par is baat ka gam nai hai mujhe ratti bhar,
gam ye hai ki tujhe pane ki khawahish aur koshish hardam karta raha

Hum to tere wo Dost hain



Hum wo nahi jo tujhe gham mein chhod denge,
Hum wo nahi jo tujhse naata tod denge…
Hum to tere wo Dost hain,
Jo agar teri saasein band ho,
to apni saasein jod denge…

Dost se Mulaakaat baaki hai…




Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai…
Maut aegi to kehna ruk,abhi apne Dost se
Mulaakaat baaki hai…

26 April 2011

Samjha Na Koi Dil Ki Baat ko



Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya.

Kyu marte ho bewafa sanam ke liye



Kyu marte ho bewafa sanam ke liye ,,
Do gaj zameen na milege dafan ke liye ,,
Marna hai to maro desh-watan ke liye ,,
Haseena bhi degi DUPATTA tere kafan ke liye ,,

Dulhan ban kar ek din..



Dulhan ban kar ek din tu ja rahi hogi ,,
Tere hatho me mehandi bhi rachi hogi ,,
Us din teri aakho me mere liye pyaar to nahi hoga ,,
Par us din ke bad tu bhi mere liye ro rahi hogi ,,

24 April 2011

Dard ko Bhi Dard Hone Laga



Dard ko Bhi Dard Hone Laga
Dard Khud Hi Mere Ghaao Dhone Laga
Dard Ke Liye Main Na Roya
Lekin Dard Mujhe Chhu kar Khud Rone Laga..

Dard ki mehfil me



Dard ki mehfil me ek sher hum bhi arz kiya karte hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai…….
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai….

Aankho me arman diya karte hai



Aankho mai arman diya karate hai ;
Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :
Ab jab jab aapki palke Zukengi ;
Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :

23 April 2011

Jab bhi kisiko kareeb paya



Jab bhi kisiko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahin dhoka khaya hai
Kyon dosh dete ho kaanton ko
Ye zakhm to humne phoolon se paya hai!!

Hakikat na puch mere fasane ki,



Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hi badal gayee najar jamaane ki,
Log kahete hai ki khush hu mai,
Lekin meri to aadat hai gum me muskurane ki

Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko



Un Logo Ka Kya Hua Hoga,
Jinko Meri Tarha Gum Ne Mara Hoga,
Kinare Par Khade Log Kya Jane,
Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko Pukara Hoga..!

Kaminay friends



Vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye hein,
zakham muft aur dard tohfe mein bhijvaaye hein,

Is se badkar wafadaari ki misaal kya hogi,
maut se pehle hi mere dost KAFAN le aayen hein..

Bichhadne ka gam


Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
anjane mod par kuchh log dost ban jate hain,
milne ki khushi de ya na de
bichhadne ka gam zarur de jate hain…

Khuda bhi mukar gaya.



Hume unse koi shikayat hi nahi,
Shayad humari kismat me dosti hi nahi,
Meri takdeer likh kar to khuda bhi mukar gaya,
Pucha to bola ye to meri likhawat hi nahi

Samjha Na Koi Dil Ki Baat ko




Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya.

DIL JEET LE WO NAZAR..



DIL JEET LE WO NAZAR
HUM BHI RAKHTE HAIN,


BHEED ME BHI AAYEIN NAZAR
WO ASAR HUM BHI RAKHTE HAIN


YUN TOH WAADA KIYA HAI
KISI SE HAR DUM MUSKURANE KA


WARNA IN AANKHON MEIN HARDAM
SAMANDAR HUM BHI RAKHTE HAIN..

Dard se khelna sikh gaye hum



Dard se khelna sikh gaye hum,
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham,
 

Kya bataye Hame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!!

Kafan na dalo



Kafan na dalo mere Chehre par,
mujhe Aadat hai muskuraney ki,
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,
aaj umeed hai unke Aane ki!!

KHUDA kaun kahega.



Bina gham khushi ka pata kaise chalega
Bina roye hasi ka maza kaise milega
Wo jo b karta hai wo hi janta hai
Agar ham jaan gaye to use KHUDA kaun khega.

Bewafa Sanam



Khuda ki mahobbat fanah kaun karega,
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega,
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna,
Warna hamari maut ki dua kaun karega!!!