27 April 2011

Mujhe jeene ki umeed dubara dedo


Mujhe jeene ki umeed dubara dedo ,,
Meri dubti kasti ko kinara dedo ,, 

Main dard ke shahil pe tanha khada hoo ,,
Fir aake apni baho ka sahara dedo ,,

Tera daman to bhara hai sitaro se ,,
Mujhe sad ke me ek sitara dedo ,,

Mere aangan ma aaj andhera hai bahoot ,,
Meri dalheej ko fir apna nazara dedo ,,

Chand lamhe tujhe dekhne ki hasrat hai bas ,,
Maine kab kaha waqt apna mujhe sara dedo ,,,,,,,?

Kuch is tarah gujarti ab hamari har sham hai ,,




Ek hath me tasveer unki to ek hath me JAM hai ,,


Bekar hai yad deelana ke shaye ye haram hai ,,
Sab kuch bhul jate hai jab koi leta unka nam hai ,,


Hum to yahi kahenge main bewajah badnam hoo ,,
Darde dil se hum ko to pahuchati ye aaram hai ,,


Tawah karti hai SARAB galat is par ilzam hai ,,  

Madadgar ka badnam hona to kudarat ka nizam hai ,,

Hum gumkhoro ka mai ko tahe dil se salam hai ,,
Bina iske to khuda jane kya humara anjam hai ,,,,,,?

Ae khuda dua ye meri



Ae khuda dua ye meri khali na jaye ke mere dost ki
palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke nikle gum ke aansu mere hisse
me aa jaye

Mere sukun ko lauta de koi



Mere sukun ko lauta de koi
In larazte honto se muskura de koi

Bahut derd sama rakha is seene me
Dawa bankar is dard ko mita de koi

Mujhe bhi muskurane ki tamanna hai bahut
Is gham k samundar me khushyan la de koi

Tanha chalte chalte ab thak gaya hun main
Safar k is tanhayi ko akar mita de koi

Jine k liye mere pas yaadon k siwa kuch nahi
Marne k liye apni muhabbat ka sahara de de koi

Muskaan tera hontho se kabhi jaye na...



Muskaan tera hontho se kabhi jaye na
Aansoo teri palko pr kabhi aaye na,
Poora ho tera har kwab,aur jo pura na ho,
Vo kwab kbhi aaye na .

Koshish hardam karta raha



Teri mohabat me mein khuda k sajde karta raha
Tujhe paya nai par na kho du kahin isliye bas darta raha.

Tu na mili par is baat ka gam nai hai mujhe ratti bhar,
gam ye hai ki tujhe pane ki khawahish aur koshish hardam karta raha

Hum to tere wo Dost hain



Hum wo nahi jo tujhe gham mein chhod denge,
Hum wo nahi jo tujhse naata tod denge…
Hum to tere wo Dost hain,
Jo agar teri saasein band ho,
to apni saasein jod denge…

Dost se Mulaakaat baaki hai…




Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai…
Maut aegi to kehna ruk,abhi apne Dost se
Mulaakaat baaki hai…

26 April 2011

Samjha Na Koi Dil Ki Baat ko



Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya.

Kyu marte ho bewafa sanam ke liye



Kyu marte ho bewafa sanam ke liye ,,
Do gaj zameen na milege dafan ke liye ,,
Marna hai to maro desh-watan ke liye ,,
Haseena bhi degi DUPATTA tere kafan ke liye ,,

Dulhan ban kar ek din..



Dulhan ban kar ek din tu ja rahi hogi ,,
Tere hatho me mehandi bhi rachi hogi ,,
Us din teri aakho me mere liye pyaar to nahi hoga ,,
Par us din ke bad tu bhi mere liye ro rahi hogi ,,

24 April 2011

Dard ko Bhi Dard Hone Laga



Dard ko Bhi Dard Hone Laga
Dard Khud Hi Mere Ghaao Dhone Laga
Dard Ke Liye Main Na Roya
Lekin Dard Mujhe Chhu kar Khud Rone Laga..

Dard ki mehfil me



Dard ki mehfil me ek sher hum bhi arz kiya karte hai..
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai…….
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai….

Aankho me arman diya karte hai



Aankho mai arman diya karate hai ;
Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :
Ab jab jab aapki palke Zukengi ;
Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :

23 April 2011

Jab bhi kisiko kareeb paya



Jab bhi kisiko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahin dhoka khaya hai
Kyon dosh dete ho kaanton ko
Ye zakhm to humne phoolon se paya hai!!

Hakikat na puch mere fasane ki,



Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hi badal gayee najar jamaane ki,
Log kahete hai ki khush hu mai,
Lekin meri to aadat hai gum me muskurane ki

Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko



Un Logo Ka Kya Hua Hoga,
Jinko Meri Tarha Gum Ne Mara Hoga,
Kinare Par Khade Log Kya Jane,
Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko Pukara Hoga..!

Kaminay friends



Vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye hein,
zakham muft aur dard tohfe mein bhijvaaye hein,

Is se badkar wafadaari ki misaal kya hogi,
maut se pehle hi mere dost KAFAN le aayen hein..

Bichhadne ka gam


Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
anjane mod par kuchh log dost ban jate hain,
milne ki khushi de ya na de
bichhadne ka gam zarur de jate hain…

Khuda bhi mukar gaya.



Hume unse koi shikayat hi nahi,
Shayad humari kismat me dosti hi nahi,
Meri takdeer likh kar to khuda bhi mukar gaya,
Pucha to bola ye to meri likhawat hi nahi

Samjha Na Koi Dil Ki Baat ko




Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya.

DIL JEET LE WO NAZAR..



DIL JEET LE WO NAZAR
HUM BHI RAKHTE HAIN,


BHEED ME BHI AAYEIN NAZAR
WO ASAR HUM BHI RAKHTE HAIN


YUN TOH WAADA KIYA HAI
KISI SE HAR DUM MUSKURANE KA


WARNA IN AANKHON MEIN HARDAM
SAMANDAR HUM BHI RAKHTE HAIN..

Dard se khelna sikh gaye hum



Dard se khelna sikh gaye hum,
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham,
 

Kya bataye Hame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!!

Kafan na dalo



Kafan na dalo mere Chehre par,
mujhe Aadat hai muskuraney ki,
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,
aaj umeed hai unke Aane ki!!

KHUDA kaun kahega.



Bina gham khushi ka pata kaise chalega
Bina roye hasi ka maza kaise milega
Wo jo b karta hai wo hi janta hai
Agar ham jaan gaye to use KHUDA kaun khega.

Bewafa Sanam



Khuda ki mahobbat fanah kaun karega,
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega,
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna,
Warna hamari maut ki dua kaun karega!!!

Tere nam ko hotho pe...



Tere nam ko hotho pe sajaya hai maine ,,
Tere rooh ko apne dil me basaya hai maine ,,
Duniya tumhe dhundte ho jayegi pagal ,,
Dil ke aise kone me chupaya hai maine ,, ?

Na khwabon me dekha



Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha…

zindagi udas hone ka naam nahi



zindagi udas hone ka naam nahi
pyar sirf paas hone ka naam nahi
agar aap dur rehkar bhi hume yaad rakhte he
to isse bada hamare liye koi inaam nah

22 April 2011

Har aansu sailab banta gaya



Hakikat ke roop me khwab banta gaya ,,
Dhire-dhire wo chehra kitab banta gaya ,,
Usne kaha mujhse pani accha lagta hai ,,
Aur meri aakho ka har aansu sailab banta gaya

Kabhi aap bhi roye hoge..



yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat gum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge..

Daag Ansuon Se Dhoye Hain



Daag Ansuon Se Dhoye Hain,
Jab Bhi Tanha Huye Hain Roye Hain,
Dil Mein Kyon Na Uge Yaad Teri,
Dil Mein Tere Hi Khawab Boye Hain

Sabh Kuch Nahi Milta,



Sabhi Ko Sabh Kuch Nahi Milta,
Nadi Ki Har Lehar Ko Sahil Nahi Milta,
Yeh Dil Walon Ki Dunia Hai Dost,
Kisi Se Dil Nahi Milta To Koi Dil Se Nahi Milta.

Kyon Sath Mera Koi



Bikhre Hai Ashq Koi Sath Nahi Deta,
Khamosh Hai Sab Yahan Koi Awaz Nahi Deta,
Kal Ke Wade Sab Karte Hai Magar,
Kyon Sath Mera Koi Aaj Nahi Deta

Ye dosti....



Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
Dosti naam hai sada muskurany ka

Ye koi pal bhar ki pehchan nahi
Dosti naam hai sada sath nibhana ka

Kabhi socha naa tha…




Bas kar bikhrenge , kabhi socha naa tha…
In lamho se guzrein ge, kabhi socha naa tha…

Kitna pyar tha humein apne aap se…
Zindagi ban jayegi Azab, kabhi socha na tha…

Unhein to fikr bhi naa thi humari…
Humein fikr ho jayegi unki, kabhi socha naa tha…

Apno ne haath uthaya sar se, phir darbadar huye ghar se…
Itne bhi mushkil lamhaat aaein ge, kabhi socha naa tha…

Chehre pe tera naam



Aks-e-Khushbu hu bikharne se na roke koi,
aur agar bikhar jau to mujhko na samete koi,
kaanp oothti hu mai ye soch k tanhai me,
ki mere chehre pe tera naam na padh le koi

Happy birthday my friend



Ae Khuda Mere Yaar Ka Daman Khusiyon Se Saza De,
Uske Janamdin Par Usi Ki Koi Raza De,
Dar Par Tere Aunga Har Saal,
Ki Usko Gile Ki Na Koi Wajah De….

Kyu hain humse door


Saanso ki mehak ho ya Chehra ka noor, Chahat hain unse to humara kya karoor....

Khuda se ek din hum puchenge jarur,Jo rehta hain dil main wo kyu hain humse door.........

Yaar ki har subaah achhi ho



Mausam ki bahaar acchi ho
Phoolon ki kaliya kacchi ho
Hmare ye rishte sacche ho
Rab tere se bus 1 dua h,
Ki mere yaar ki hr subaah achhi ho

Yeh raat itni



Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai…

21 April 2011

Patther dil se tu


Patther dil se tu sahare mat mang ,,
Patjhad se tu kabhi bahare mat mang ,, 


Beech majhdhar me chod kar chal de jo ,,  

Aisi kasti se tu kinare mat mang ,,
 

Aish-o-aaram ke dhago se seeli juba jinki ,,
Unse inkalab ke kabhi nare mat mang ,,
 

Puri na hogi kabhi teri chahat yaha ,,
Kaynat se kabhi wo nare mat mang ,,

Aaj unko maine khafa



Aaj unko maine khafa kardeya aaysa,
Laga jaise khud se daga kar deya ,,
Unhe kaise manau sochte rahe din bhar ,,
Aaj to aansu ne bhi aane se mana kardeya ,, ?

Ajnabi galiyon se




Ajnabi galiyon se hum gujra nahi karte,
dard-e-dil liya aur diya nahi karte,
Ye dosti ka rishta sirf tum se hai,
varna itne SMS hum kisiko kiya nahi karte

Tumne seekha aag lagana



Khuli hawa me diya jalana humne sekh liya ,,
Dushman ko bhi gale lagana humne sekh liya ,,


Tumne seekha aag lagana sirf jamane me ,,
Dheere-dheere magar bujhana humne sekh liya ,,
 

Zakhm deye aapno ne sare kya afsos kare ,,
Zakhmo ko has kar sahlana humne sekh liya

Zindagi Badnaam Kardi…


Jo Kaha Unhone Toh Humne Apni Zindagi Nilam Kardi, 
Apni Zindagi Unke Liye Do Pal ki Mehman Kardi, 
Achcha Hua Naam Na Aaya Unka, 
Nahi Toh Voh Kehti, 
Humne Apni Khudgarji Ke Liye Unki Zindagi Badnaam Kardi…

Nachati Hai “SHARAAB”



Duriyaa Aasani Se Mitati Hai “SHARAAB”, 
Majburiyon Ko Nashe Me Nachati Hai “SHARAAB”…. 

Aansuwo Ko Mila De Tu Apne Har Ek Jaam ME, 
Fir Dekh Kaise Yaadon Ko Aur Kareeb Lati Hai “SHARAAB”….. 

Thak Chuke Hai Jo Is Duniya Ke Sitamo Se, 
Unhe Do Pal Ki Rahat Dilati Hai “SHARAAB”….. 

Pankh Laga Ke Aasmaan Me Ud Jaate Hai Jo Panchi, 
Do Ghoot Me Unhe Baho Me La Sakti Hai “SHARAAB”….. 

Jiss Ka Hath Sari Duniya Chod Deti Hai, 
Unke Hatho Me Aksar Paayi Jati Hai “SHARAAB”…. 

Kabhi Bhi Apne Gumon Ko Bhulna Ho To Keh Dena, 
Kitne Bhi Bade Gum Me Kisiko Bhi Hasati Hai “SHARAAB”

This shayari was sent by  Deepak Vashishta

20 April 2011

Dilon Say Khelna



Dilon Say Khelna Ka Hunar Hamain Aata Nahin,
Isi Liyay Ishq Ki Baazi Hum Haar Gayai,
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha,
IsiLiye Mujhe Zinda Hi Maar Gayai….

Mujhe Dard-E-Ishq



Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Malum Hai
Dard-E-Dil Ki Inteha Malum Hai
Zindagi Bhar Muskurane Ki Dua Mat Dena Dost
Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Malum Hai

18 April 2011

मैं दो कदम चलता



मैं दो कदम चलता और एक पल को रुकता मगर.....
इस एक पल जिन्दगी मुझसे चार कदम आगे बढ जाती ।
मैं फिर दो कदम चलता और एक पल को रुकता और....
जिन्दगी फिर मुझसे चार कदम आगे बढ जाती ।
युँ ही जिन्दगी को जीतता देख मैं मुस्कुराता और....
जिन्दगी मेरी मुस्कुराहट पर हैंरान होती ।
ये सिलसिला यहीं चलता रहता.....
फिर एक दिन मुझे हंसता देख एक सितारे ने पुछा..........
" तुम हार कर भी मुस्कुराते हो ! क्या तुम्हें दुख नहीं होता हार का ? "
तब मैंनें कहा................
मुझे पता हैं एक ऐसी सरहद आयेगी जहाँ से आगे
जिन्दगी चार कदम तो क्या एक कदम भी आगे ना बढ पायेगी,
तब जिन्दगी मेरा इन्तज़ार करेगी और मैं......
तब भी युँ ही चलता रुकता अपनी रफ्तार से अपनी धुन मैं वहाँ पहुँगा.......
एक पल रुक कर, जिन्दगी को देख कर मुस्कुराउगा..........
बीते सफर को एक नज़र देख अपने कदम फिर बढाँउगा।
ठीक उसी पल मैं जिन्दगी से जीत जाउगा.........
मैं अपनी हार पर भी मुस्कुराता था और अपनी जीत पर भी......
मगर जिन्दगी अपनी जीत पर भी ना मुस्कुरा पाई थी और अपनी हार पर भी ना रो पायेगी"